Fitrat e insan ko raas ati nahi aasoodagi Get link Facebook Twitter Pinterest Email Other Apps - March 27, 2018 Fitrat e insan ko raas aati nahi aasoodagi Chhod kar sahil ko tufan me utar jate hain log ... Get link Facebook Twitter Pinterest Email Other Apps
Ab bhI bheegi barish me wo - April 10, 2018 Kaafi arsa beet gaya jane ab wo kaisa hoga Waqt ki sari kadwi batein chup chap hi sahta hoga Ab bhi bheegi barish me wo ban k chhatri chalta hoga Mujhse bichhde arsaa beeta ab wo kis se ladta hoga Achha rahta sath hi rahte baad me us ne socha hoga Apne dil ki sari batein khud se khud hi karta hoga ... Read more
Ab mai chai peeta hu - April 01, 2018 Bahot arsa hua , Bataya tha mujhe usne Banana kuchh nahi aata Agar mai kuchh banati hu To bss ek chai banati hu . Pioge n ...? To mai uske is bat par Muskurata hi raha tha . Banana kuchh nahi aata ? Bss ek chai banati ho ? Mujhe to chai se uljhan hai Nahi peeta ... Nahi peeta ... Magar is baat ko beete Zamana ho gaya logon Nahi malum ab mujhko Wo kaisi hai ? Kaha par hai ? Par ab mai chai peeta hu Badi kasrat se peeta hu Badi hasrat se peeta hu ... Read more
Tu mere sath na chal - Very sad love ghazal - April 18, 2018 Tu kisi aur ki jageer hai aye Jaan-e-Ghazal Log toofan utha denge tu mere sath na Chal Ab mera pyar tere pyar ka haqdaar Nahi Main tere gesu-o-rukhsar ka haqdar Nahi Ab kisi aur k shano pe hai tera Aanchal Log toofan utha denge mere sath na Chal Main tere pyar se ghar apna basaun Kaise Main teri Mang sitaro se sajaun Kaise Meri qismat me nahi pyar ki khushboo Shayad Meri hatho ki laqeero me nahi tu Shayad Apni taqdeer bana meri muqaddar na Badal Log toofan utha denge tu mere sath na Chal Mujhse kahti hain ye khamosh nigahein Teri Meri parwaaz se unchi hain panahein Teri Ab kaha mera thikana hai kaha tera Mahal Log toofan utha denge mere sath na Chal ... Read more